Shaam-e-firaaq ab na puuch aayi aur aa ke ttal gayi..

Shaam-e-firaaq ab na..

Shaam-e-firaaq ab na puuch aayi aur aa ke ttal gayi,
Dil tha ke phir behhal geya jaan thi ke phir sambhal gayi,

Bazm-e-khayal main tere husn ki shamma jall gayi,
Dard ka chaand bujh geya hijr ki raaat dhhal gayi,

Jab tujhe yaad kar liya subh mehak mehak uthi,
Jab tera gham jagaa liya raat machal machal gayi,

Dil se to har maamla kar ke chale they saaf hum,
Kehne main un ke saamne baat badal badal gayi,

Akhir-e-shab ke hum safar ‘faiz’ na jaane kya huye,
Reh gayi kis jagah sabaa subh kidar nikal gayi..


send poetry

Faiz Ahmad Faiz
October 13th, 2015

One comment

  1. Dil e mha rha

Comment here

Your Comment: