Agar aesa bhi ho sakta..

Agar aesa bhi ho sak..

Agar aisa bhi ho sakta
Tumhaari neend mein
Sab khwaab apne muntaqil karke
Tumhe woh sab dikha sakta
Jo khwaabon mai main aksar dekha karta hoon

Ye ho sakta agar mumkin
Tumhe maloom ho jata,
Tumhe main le gaya tha sarhadon ke paar dina mein
Tumhe woh ghar dikhaya tha jahaan paida hua tha main
Jahaan chhat par lagaa sariyon ka junglaa
Dhoop se din bhar mere aangan mein shatranji banaata tha aur mitaata tha
Dikhaayi thi tumhe woh khetiyaan sarson ki dinay mein
Ki jiske peele peele phool khawb mein tumko kachche khilaaye the
Waheen ek rastaa tha ttaaliyon ka jispe meelon tak parra karte the
Jhoole saundhe saawan ke

Usi ki saundhi khushboo se mehak uthti hain aankhe
Jab kabhi uss khwaab se guzroon
Tumhe raftaas ka chalta kuan bhi to dikhaaya tha
Kile mein band rahtaa tha jo din bhar

Raat ko gaon mein aa jaata tha kehte hain
Tumhe kaala se kaluwaal tak leke uda hoon main
Tumhe dariay-e-jhelum par ajab manzar dikhaaye they
Jahaan tarbooj par lete hue tairak ladke behte rehte they
Jahaan tagde se ek sardaar ki pagdi pakad kar main
Nahata dubkiyaan lagata magar jab woh otar aa jaata
To meri neend khul jaati

Magar ye sirf khwaabon mein hi mumkin hai
Wahaan jaane mein ab dushwaariyan hain kuch siyasat ki
Watan ab bhi wohi hai, par nahin hai mulk ab mera
Wahaan jaana ho ab to do do sarkaaron ke daseeyon daftaron se
Shakl par lagwaa kar mohren, khawb saabit karne padte hain..


send poetry

Gulzar, Video Shayari
November 15th, 2017

Comment here

Your Comment: