Hamesha dair kar deta hoon main..

Hamesha dair kar det..

Hamesha dair kar deta hoon main

Zaroori baat kehni ho
Koi wada nibhana ho
Use awaz deni ho
Use wapas bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Madad karni ho uski
Yaar ki dhaaras bandhana ho
Bohat dereena raston par
Kisi se milne jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Badalte mausamon ki sair main
Dil ko lagana ho
Kisi ko yad rakhna ho
Kisi ko bhooll jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Kisi ko maut se pahle
Kisi gham se bachna ho
Haqiqat aur thi kuch
Us ko ja ke yeh batana ho

Hamesha dair kar deta hoon main..

Video: Hamesha dair kar deta hoon main..









A mesmerizing piece of poetry by the legendary Urdu poet Munir Niazi. Produced for poetry and literature lovers by Ranjish.com .


send poetry

Ghazal Shayari, Munir Niazi, Urdu Poets, Video Shayari
August 30th, 2011

9 comment

  1. haye… kia shayeri hy yar… maza aa gya parh k…
    aur bohat c yaden

  2. Hamesa der kr details hun mai

  3. Heart touching… agar main der nahi karta tu shayed aaj hum ajnabi nahi hote… missing you dost

  4. Hamesha der kar deta hoon

  5. Munir niazi has the sense to feel the pulse of th heart beat so to help the readers feel natural n purified

  6. Great poet of the age

  7. Awesome poem …I realike this

  8. When u read this poem..u hav to recall their all memories where u are late and lost too much

  9. Boht unda shayri, behtreen lafzon ka istmal, lekin jesi sayri hai wese ye nazam biyan ni kr sake ye jinab, andaz-e-biyan pasand ni aya

Comment here

Your Comment: