Phone pe us ki baatain, Qehqahey ache lagte hain..

Phone pe us ki baata..

Phone pe us ki baatain, us ke qehqahey ache lagte hain,
Pal do pal ke sahi, magar yeh rishte ache lagte hain,

Rang jagate jumlon se lagta hai, jese us ko bhi,
Khatti meethi batain karte larke achey lage hain,

Hamain khabar hai sab tabeerain hath na aati pariyan hain,
Phir bhi jaagti aankhon dekhe sapne achey lagte hain,

Motiyon waley mukhre bhi apne ahbaab mein shamil they,
Magar humain to khush’khat saanwley achey lagte hain,

Hum donon mastanon ki ik khawhish milti julti hai,
Mujh ko shehzadi, us ke shehzadey ache lagte hain,

Hassan Raza aakhir aesi ik hoobi hogi, jis ke sabab,
Sheher ki mah’jabenon ko hum itne ache lagte hain,

Kaanch kanwari umron ko jab matti mein rul jana hai,
Phir kyon Raza yeh lamha bhar ke mailey achey lagte hain…


send poetry

More Hassan Abbas Raza, ;

Hassan Abbas Raza
September 7th, 2012

Comment here

Your Comment: