Rothe hoe chehron me bhi ,ikk shararat basti hai

Rothe hoe chehron me..

Rothe hoe chehron me bhi ,ikk shararat basti hai
Jabeen ki silwat me bhi , ikk qiyamat basti hai

Halki si bat par roth k jane wale
Teri iss ada me bhi, ikk chahat basti hai

Pehan rakhe hain sare hi pehnawe tum ne
Anna ki pareet me bhi, ikk baghawat basti hai

Kar laiti ho tum ye faisala mujh se poche bina
Teri iss nadani me bhi, ikk mashawarat basti hai

Yakkeen kaise kar lon abb un ki baton ka
Doston k dilon me bhi , ikk manafqat basti hai

Kia zarorat hai tujhe itna sajh dajh k nikalne ki
Chehre ki sadagi me bhi, ikk sabahat basti hai

Dikhati ho jo aoron k samne ankhain apni
Lehjhe ki iss talkhi me bhi , ikk nazaqat basti hai

Daikh kar hum ko jhoka laiti ho jo nazrain apni
Teri iss haya me bhi, ikk qarabat basti hai

Kehti ho tum k taza taza hai yee mohabbat
Rawayon k anchal me bhi, ikk qadamat basti hai


send poetry

Mirza Hussnain Azam
May 6th, 2012

One comment

  1. I Like This Sayri

Comment here

Your Comment: