Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote

Zamane wale kabhi bh..

Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote
Har jai chehre wafa ka pekar nahin hote

Jin k pass hoti hain umer bhar ki yadain
Wo log tanhai me bhi tanha nahin hote

Na daikh yon kisi ghareeb ko nech nazroon se
Koi majbori na ho to hath phele nahin jate

Waste daite hain abb Khoda k tujhe
Aur hum se abb jabar sehne nahin hote

Shaid ajj me tere naseeb me hota
Agar tum mere ansaon par hanse nahin hote

Bhool jate hain jo apni mohabbat ko
Ankhon me un k anso nahin hote

Photata hai jin k andar chashma mohabbat ka
Daman un k kabhi mele nahin hote

HUSSNAIN chahte hain jo kisi ko sache dil se
Aik din k wo mehtaj nahin hote


send poetry

Mirza Hussnain Azam
May 8th, 2012

3 comment

  1. V Good

  2. “Bhul jatey h jo apni, mohabbt ko, ankhon me un k aansu ni hotey”… ‘Superb sir’.
    “Woh hmse kehte h k badal gye h hm, rang tutey patoo’n ka aksr badal he jata h”…

  3. Alone

Comment here

Your Comment: