Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai..

Ehl-e-mohabbat ki ma..

Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai,
Mitti se gulaab ki doori barhti jati hai,

Mehraabon se mehal-saraa tak dheron-dhair chiraagh,
Jalte jaate hain be-noori barhti jati hai,

Kaarobaar mein ab ke khasaara aur tarah ka hai,
Kaam nahin barhtaa mazdoori barrhti jaati hai,

Jaise jaise jism tashaffi paata hai,
Waise waise qalb se doori barrhti jati hai,

Girya-e- neem-shabbi ki naymat jab se bahaal huyi,
Har-lehzaa umeed-e-huzoori barhti jaati hai..


send poetry

Iftikhar Arif
June 15th, 2015

Comment here

Your Comment: