Koi haalat nahin, yeh haalat hai..

Koi haalat nahin, ye..

Koi haalat nahin, yeh haalat hai,
Yeh to ashob-naak suurat hai,

Anjumann main yeh meri khamoshi,
Burdbaari nahin hai, wehshat hai,

Tujh se yeh gaah-gaah ka shikwa,
Jab talak hai bassaa ghaneemat hai,

Garam-joshi aur is qadar ke kya baat,
Kya tumhe mujh se kuch shikayet hai,

Ab nikal aao apne andar se,
Ghar main samaan ki zaroorat hai,

Hum ne jaana, to hum ne yeh jaana,
Jo nahin hai woh khoobsurat hai,

Waar karne ko jaanisaar aye,
Yeh to eesaar hai, inayat hai,

Khawhishen dil ka saath chorr gayin,
Yeh aziyat barri aziyat hai,

Log masroof jante hain mujhe,
Yahan mera gham hi meri fursat hai,

Aaj ka din bhi aish se guzraa,
Sar se pair tak salaamat hai..


send poetry

Ghazal Shayari, Jon Elia
October 31st, 2016

Comment here

Your Comment: