Itna to hua kuch log pehchaane gaye..
Itna to hua kuch log..
Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,
Lekin itna to hua kuch log pehchaane gaye,
Main isay shohrat kahoon ya apni rushwayi kahoon,
Mujh se pehle us gali main mere afsanay gaye,
Wehshaten kuch is qadar apna muqaddar ho gayin,
Hum jahan pohanche hamare saath viraanay gaye,
Yun to woh meri rag-e-jaan se bhi thay nazdeek tar,
Aansuyon ki dhund main lekin na pehchaane gaye,
Ab bhi un yaadon ki khushbuu zehen main mehfooz hai,
Baa’arhaaa hum jise gulzaaron ko mehkaanay gaye,
Kya qayamat hai ke khatir kushta shab hum hi thay,
Subah jab aayi to mujrim hum hi gardaanay gaye..
Designed Shayari, Khatir Ghaznavi
August 26th, 2016