Baat karni thi baat kaun kare..
Baat karni thi baat ..
Baat karni thi baat kaun kare,
Dard se do do haath kaun kare,
Hum sitaare tumhen bulaate hain,
Chaand na ho to raat kaun kare,
Hum tujhe rab kahen ya but samjhen,
Ishq main zaat-paat kaun kare,
Zindagi bhar ki ho kamaayi tum,
Is se zeyada zakaat kaun kare..
Kumar Vishwas
September 7th, 2016