Hansi thammi hai in ankhon mei yuun nami ki tarah..

Hansi thammi hai in ..

Hansi thammi hai in ankhon mei yuun nami ki tarah,
Chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah,

Tumhara naam hai ya aasmaan nazron mein,
Simatt geya meri gum-gashtaa zindagi ki tarah,

Kohr hai dhund dhuan hai woh jis ki shakal nahin,
Ke dil yeh ruuh se lipta hai ajnabi ki tarah,

Tumhare haathon ki sarhad ko paa ke thehri huin,
Khalaayen zinda ragon mei hain sanssani ki tarah..


send poetry

Meena Kumari
April 3rd, 2015

Comment here

Your Comment: