Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Mere Ander Ka Hai In..

Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa

Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa

Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa

Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak “Mohsin”
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa


send poetry

Mohsin Naqvi
July 13th, 2012

5 comment

  1. Mashaallah bahot Umddah poetry hai aap ki …… allah aur nawaze aap ko

  2. bahot accha hai………pure and facinating…….really good keep it up…..

  3. superrbbb….,,<3 🙂

  4. really nice,

  5. Fantanstic!!!!!!!
    thnx ke ap itni achi poetry likh kar hum se share krte hain plz aur zbrdast likhn…………..

Comment here

Your Comment: