Assar us ko zara nahin hota..

Assar us ko zara nah..

tum hamare kisi tarah na huye

Assar us ko zara nahin hota,
Ranj rahat-faza nahin hota,

Bewafa kehne ki shikayet hai,
To bhi vaada-wafaa nahin hota,

Zikr-e-aghyaar se hua maloom,
Harff-e-naseh bura nahin hota,

Kis ko hai zauq-e-talkhh-kami laik,
Jang bin kuch maza nahin hota,

Tum hamare kisi tarah na huye,
Warna duniya main kya nahin hota,

Us ne kya jaane kya kiya le kar,
Dil kisi kaam ka nahin hota,

Imtihaan kijiye mera jab tak,
Shauq zor-aaazmaa nahin hota,

Ek dushman ki charkhh hai na rahe,
Tujh se yeh ay duaa nahin hota,

Aah tul-e-amal hai roz-fuzuun,
Garche ik muddaaa nahin hota,

Tum mere paas hote ho goya,
Jab koi doosra nahin hota,

Haal-e-dil yaar ko likhoon kyun-kar,
Haath dil se judaa nahin hota,

Rehm bar-khasm-e-jaaan-e-ghaiyr na ho,
Sab ka dil aik saa nahin hota,

Daaman us ka jo hai daraaz to ho,
Dasst-e-aashiq rasaa nahin hota,

Chara-e-dil siwaaye sabr nahin,
So tumhare siwaa nahin hota,

Kyun sunay arzz-e-muzztar ae momin,
Sanam aakhir khudaa nahin hota..


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Momin Khan Momin
October 31st, 2016

Comment here

Your Comment: