Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon..

Na kisi ki aankh ka ..

Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Jo kisi ke kaam na aa sake main woh ek musht-e-ghubaar hoon,

Main nahin hoon naghma-e-jaan-fazaa, mujhe sun ke koi kare ga kya,
Main barre birog ki hoon sada main barre dukhi ki pukaar hoon,

Mera rang roop bigarr geya mera yaar mujh se bicharr geya,
Jo chamman khizaan se ujarr geya main ussi ki fasl-e-bahaar hoon,

Faatiha pe koi aaye kyun koi chaar phool charrhaaye kyun,
Koi aa ke shamma jalaaye kyun main woh be-kassi ka mazaar hoon,

Na main “muztar” un ka habib hoon na main “muztar” un ka raqeeb hoon,
Jo bigarr geya woh naseeb hoon jo ujarr geya woh dayaar hoon..


send poetry

Muztar Khairabadi
June 17th, 2015

Comment here

Your Comment: