Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin..

Safar-e-manzil-e-sha..

Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin..

Safar-e-manzil-e-shabb yaad nahin,
Log rukhsat huye kab yaad nahin,

Avvaleen qurb ki sarshaari hain,
Kitne armaan they jo ab yaad nahin,

Dil main har waqt chubhan rehti thi,
Thi mujhe kis ki talabb yaad nahin,

Woh sitaara thi ke shabnam thi ke phool,
Ek surat thi ajab yaad nahin,

Kaisi viraan hai guzar-gaah-e-khayal,
Jab se woh aaariz-o-labb yaad nahin,

Bhoolte jaate hain maazi ke dayaar,
Yaad aaye bhi to sab yaad nahin,

Aisa uljha hoon gham-e-duniya main,
Ek bhi khawab-e-tarb yaad nahin,

Rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayaal,
Us ki surat bhi to ab yaad nahin,

Yeh haqeeqat hai ke ehbaab ko hum,
Yaad hi kab thay jo ab yaad nahin,

Yaad hai sair-e-charaaghan nasir,
Dil ke bujhne ka sabbab yaad nahin..

سفر_منزل_شب یاد نہیں - ناصر کاظمی


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Nasir Kazmi
October 16th, 2016

Comment here

Your Comment: