Naye kapre badal kar jaon kahan

Naye kapre badal kar..

naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye

jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye

wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye

ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye

muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza
in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye


send poetry

Nasir Kazmi, Urdu Poets
August 31st, 2011

5 comment

  1. this is very nice poem very nice . i like it so much b.coz my love story is same to it.

  2. I like this poem soooooooo much

  3. wwaah bht khoob.
    Ab shehr me us ka badal he nhi koi wesa jan-e-ghazal he nhi
    Aiwan-e-ghazal me lafzo ke guldan sajaun kis ke liye

  4. The fabulous and heart touching ode.

  5. Amazing….!

Comment here

Your Comment: