Kamaal-e-zabt ko khud bhii to aazamaun gii..

Kamaal-e-zabt ko khu..

Kamaal-e-zabt ko khud bhii to aazamaung ii
Main apane haath se us kii dulhan sajaun gii

Supurd kar ke use chaandanii ke haathon
Main apane ghar ke andheron ko laut aungii

Badan ke karb ko vo bhii samajh na payega
Main dil men rouungii aankhon men muskuraun gii

Vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
Main kis se ruuth sakuungii kise manaun gii

Vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
Main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaun gii

Bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
Vo so ke uthe to khvaabon kii raakh uthaun gii

Ab us kaa fan to kisii aur se mansuub huaa
Main kis kii nazm akele men gun_gunaun gii

Javaz dhuundh rahaa thaa nayii muhabbat kaa
Vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaun gii


send poetry

Parveen Shakir
May 1st, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »