Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi..

Kuch to hawa bhi sar..

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi..

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaal bhi,

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,

Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,

Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,

Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,

Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..


send poetry

Ghazal Shayari, Parveen Shakir, Video Shayari
August 7th, 2016

6 comment

  1. Mashaallah..kya khub likha h!

  2. Mashaallah…kya khub likha h!

  3. fantastic yrr!!!

  4. kia khob likha hai

  5. Waaah yar Kya khoob likha he

  6. Sneha apke liye bhi kuch likha jaye to kitna achhe rahega please. WhatsApp kariyega ya is pr normal call kariyega +919350275906
    Ik behtar dost bananey ki khwahish hai shayad ap wohi Hain Dil to yehi kahta hai

Comment here

Your Comment: