Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai

Usi Din Ghar Nahi Aa..

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai,
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai,

Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kaail,
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai,

Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko ?
Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai,

Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota,
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai ?

Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai,
Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai…!


send poetry

Parveen Shakir
June 18th, 2012

One comment

  1. bahot acchi hai some more of parveen shakir please……….

Comment here

Your Comment: