Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain

Garmi-e-Hasrat-e-NaK..

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain

Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain

Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain

Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain

Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain ?


send poetry

Qateel Shifai
July 9th, 2012

8 comment

  1. Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
    Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
    Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
    Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga?ADI

  2. Nahi tha zor uski sitam nawaziyon ka,
    Magar mujhe bhi hosle mere khuda se mile,
    Meri amma kyun kehti hai baar baar mujhse,
    Wo mohabbat hi kya jo iltija se mile… ADI

  3. Garmi hasrate nakam mea jal jate hai

  4. KHUBSURAT__jitni Taarif karu kam hai___

  5. very very nice

  6. Gham e hayat ka jhagra Mira raha hai koi

    Chale aao ke Sunita s ja raha hai koi

  7. haratain kuch nakam si reh jati hn

    is ka next kia h koi bata skta h ?????

  8. hasratain kuch nakam si reh jati han

    is ki net line koi b ta dy …….

Comment here

Your Comment: