Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay
Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ?
Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ?
Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana
Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ?
Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki
Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay?
Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni
Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ?
“Qateel” Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota
Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay ?
More Urdu Poetry:
- Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain Aisa Kartay Hain Ke Mar...
- Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam...
- Jaatay Howay Yaqeen Ki Daulat Wo Le Gaya Jaatay Howay Yaqeen Ki Daulat Wo Le Gaya, Ik Wehem...
- Ro Ro k hansna hai Bara dushwaar hota hai zara sa faisla karna k jeevan...
- Koi mausam ho dil mai hai tumhaari yaad ka mausam Koi mausam ho dil mai hai tumhaari yaad ka mausam,...
- Kahan hota hai Jis ghari us ki yadon ka sama hota hai, Phir...
- Aashiq awara kahan qaid e dar o baam kahan Aashiq awara kahan qaid e dar o baam kahan, Be...
- Shoq e safar kahan hai kahan le gea humen Shoq e safar kahan hai kahan le gea humen, Hum...
- Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen Wo mehfilain kahan gaeen wo bazmain kahan gaeen Ta-umar sath...
- Kahan kahan se alag kar sako ge tum muj ko Kahan kahan se alag kar sako ge tum muj ko,...
- Izhaar-e-mohabbat tujhay izhaar-e-mohabbat say agar nafrat thi tu nay hoontoon ko...
- sheeshay toot jaatay haiN TumheiN is baat pey herRat ke toota hey hamara dil…...
- sunay jaatay na thay tm sa mera din raat ka shikway sunay jaatay na thay tm sa mera din raat ka...
- Jaan se pyaari hai muskaan tumhaari Zindagi nahin humein doston se pyaari, Doston pe haazir hai...
- Apni hee sadaa sunuun kahan tak ??? Apni hee sadaa sunuun kahan tak ??? Jungul ki hawa...
Advertisement














