Iss taraf se guzre they qaafile bahaaron ke..

Iss taraf se guzre t..

Iss taraf se guzre they qaafile bahaaron ke,
Aaj tak sulagte hain zakhm raahguzaaron ke,

Khalvaton ke shaidaayi khalvaton mei khulte hain,
Hum se puuch kr dekho raaz parda-daaron ke,

Gesu.on ki chaaon mei dil-nawaz chehre hain,
Ya haseen dhundlakon mei phuul hain baharon ke,

Pehle hanss ke milte hain phir nazar churaate hain,
Aashnaa-sift hain log ajnabi dayaaron ke,

Tum ne sirf chaaha hai hum ne chhu ke dekhe hain,
Pairahan ghataaon ke jism barq-paaron ke,

Shughl -e- mai-parasti go jashn-e- na-muraadi tha,
Yuun bhi katt gaye kuch din tere sogvaaron ke..


send poetry

Sahir Ludhianvi
February 16th, 2015

Comment here

Your Comment: