Tarab-zaarona pe kya beeti sanam-khaanon pe kya guzri..

Tarab-zaarona pe kya..

Tarab-zaaron pe kya beeti sanam-khaanon pe kya guzri,
Dil-e-zinda tere marhuum armaanon pe kya guzri,

Zameen ne khuun uglaa aasmaan ne aag barsaayi,
Jab insaanon ke dil badle to insaanon pe kya guzri,

Hamen yeh fikr un ki anjuman kis haal mei hogi,
Unhe yeh gham ke un se chuut ke diwanon pe kya guzri,

Mera ilhaad to khair ek laanat tha so hai ab tak,
Magar is aalam-e-wehshat mei imaanon pe kya guzri,

Yeh manzar kaun sa manzar hai pehchaana nahin jata,
Siyaah-khaanon se kuch puucho shabistaanon pe kya guzri,

Chalo woh kufr ke ghar se salaamat aa gaye lekin,
Khudaa ki mumliqat mein sokhta-jaano pe kya guzri..


send poetry

Sahir Ludhianvi
January 18th, 2015

Comment here

Your Comment: