Woh hijar to deta hai judai nahin deta

Woh hijar to deta ha..

Woh hijar to deta hai judai nahin deta,
Kya tarfa tamasha hai bhujai nahin deta,

Mehsoos to hota hai rag-e-jan mein hi aksar,
Woh dard ka naghma jo sunaayi nahin deta,

Hain bhool bhulayi’an bhi ke rasta nahi milta,
Yeh sheher-e-sitam’gar hai rehayi nahin deta,

Tum ne kabhi socha hai ke parwana-e-nayab,
Khamosh hi marta hai duhaayi nahin deta,

Is dabr-e-harabat mein nuksaan yeh Sahir,
Jo deed ke kaabil hai dikhayi nahin deta..


send poetry

Sahir Rasool
August 6th, 2012

One comment

  1. Jo deed ke kaabil hai dikhayi nahin deta..

    bahot accha hai…….

Comment here

Your Comment: