Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai..

Garche sau baar gham..

Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzarti thi kahan guzri hai,

Aap thehre hain to thehraa hai nizaam -e- aalam,
Aap guzre hain to ik mauj -e- ravaan guzri hai,

Hosh me aaye to batlaaye tera deewaana,
Din guzaara hai kahaan raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzaare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi iss dil pe giraan guzrii hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere puchte hain,
Woh qayamat jo guzaarni hai kahan guzri hai,

Zindagi “saif” liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishaan guzri hai..


send poetry

Saif Uddin Saif
May 29th, 2015

Comment here

Your Comment: