Abhi to ishq me aisa haal bhi hona hai

Abhi to ishq me aisa..

Abhi to ishq me aisa haal bhi hona hai
K ishq rokana tum se mahal hona hai

Har aik lab pe hain meri wafa k afsane
Tere sitam ko abhi la zawal hona hai

Baja k khar hain lakin bahar ki rot me
Ye teh hai abb k humen bhi nahal hona hai

Tumhen khabar hi nahin tum to loot jao ge
Tumhare hijar me lamha bhi saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azab otaren ge
Tumhari yaad ko us dil ki dhal hona hai

Kabhi to roe ga wo bhi kisi ki banhon me
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai

Milen gi hum ko bhi apne naseeb ki khoshiyan
Bus intazar hai kab ye kamal hona hai

Har aik shakhas chale ga hamari rahon par
Mohabbaton me humen wo masal hona hai

Zamana jis k gham-o-pech me olajh jae
Hamari zaat ko aisa sawal hona hai

WASI yakeen hai mujh ko wo loot ae ga
Use bhi apne kie ka malal hona hai


send poetry

Wasi Shah
May 6th, 2012

Comment here

Your Comment: