Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain

Kaheen Charaagh Hain..

Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain

Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain

Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Ye Ek Aalam Hain

Mohabbatain Huween Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Hamaray Hissay Mein Khushian Nahi Hain, Maatham Hain

Kuch Isi Lye Bhee Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain, Tere Gham Hain

Abhi Kaho, Tou Abhee, Ye Bhi Tum Ko De Dein Ge
Hamaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain

Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Ke Raaz ?
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain


send poetry

Wasi Shah
August 7th, 2012

Comment here

Your Comment: