Kisi Ki aankh se sapney chora kar kuch nahin milta

Kisi Ki aankh se sap..

Kisi Ki aankh se sapney chora kar kuch nahin milta
Manderon se chiraghon ko bhojha kar kuch nahin milta

Hamari soch ki parwaz ko roke nahin koi
Nae aflaq pe pehare bitha kar kuch nahin milata

Koi ikk adha sapana ho to phir acha bhi lagta hai
Hazaro khawab ankhon mein saja kar kuch nahin milta

Sakon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi
Jinhen apane watan se dil laga kar kuch nahin milta

Use kehna k palkon per na tanke khawbon ki jhalhar
Samandar k kinare ghar bana ker kuch nahin milta

Yeh acha hai k apas k bharham na tootane payen
Kabhi bhi doston ko azamaa ker kuch nahin milta

Na jane kon se jazabe ki yon taskeen karata hon
Bazahir to tumhare khat jhala kar kuch nahin milta

Faqat tum se hi karata hon me sari raaz ki batain
Har ikk ko dastan-e-dil suna kae kuch nahin milta

Amal ki sokhati raag me zara sa khoon shamil kar
Mare hamdam faqat baten bana kar kuch nahin milta

Use me piar karata hon to mujh ko chain ata hai
Wo kehata hai use mujh ko sata kar kuch nahin milta

Mujhe aksar sitaron se yehi awaaz ati hai
Kisi k hijr me nendein ganwaa ker kuch nahin milta

Jigar ho jaye ga chalani ye ankhein khoon royen gi
WASI be-faiz logon se nibha ker kuch nahi milta


send poetry

Wasi Shah
May 4th, 2012

Comment here

Your Comment: