Mohabbat Akhirish Hai Kiyaa

Mohabbat Akhirish Ha..

Main Shayer Hoon
Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain
Is Haseen Israar Kay Baray main
Batain Toa Bhala Kiya Hai…?
Muhabbat Akhirish Hai Kiyaa…..?”
Wasi Main Hans Kay Kehta Hoon
Kisi Piyasay Ko Apnay Hissay Ka Pani Pilana Bhi..
Muhabbat Hai!
Bahnwar Mai Doobtay Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi..
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Wastay Nanhi Si Qurbani..
Muhabbat Hai!
Kaheen Hum Raaz Saray Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi,
Kisi Ki Babasi Ko Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi…
Muhabbat Hai!
Ho Dil Mai Dard, Veraani Magar Phir Bhi
Kisi Kay Wastay Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa
Zabardasti Hi Muskana…
Muhabbat Hai!
Kaheen Barish Mai Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Lai Kay Anaa Bhi
Muhabbat Hai!
Koi Chirya Jo Kamray Mai Bhatakti Aan Nikli Ho
Toa Us Chirya Ko
Pankhaa Band Kar Kay Rastaa Bahir Ka Dikhlana
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Zakham Sehlanaa
Kisi Rotayhuay Dil Ko Behlana..
Muhabbat Hai!
Kay Metha Boal, Methi Baat, Methay Lafz, Sab Kiya Hhai?
Muhabbat Hai!
Muhabbat Aik Hi Bas Aik Hi Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Uski Bataon, Khushboan Mai,
Dolna Kab Hai
Muhabbat Sirf Uski Zulf Kay Bal Kholnaa
Kab hai..
Muhabbat Kay Hazaroan Rang
Laakhoan Istaa’ray Hain
Kisi Bhi Rang Mai Ho Ye
Mujhay Apna Banati Hai
Ye Meray Dil Ko Bhaati Hai!


send poetry

Wasi Shah
October 11th, 2011

Comment here

Your Comment:

Next: »