Sochta hon k use nend bhi aati ho gi

Sochta hon k use nen..

Sochta hon k use nend bhi aati ho gi
Ya meri tarah Faqat aashak bahati ho gi

Wohi meri shakal mera naam bholany wali
Apni tasweer e kia aankh milati ho gi

Is zameen re bhi hai seelaab meray aashkon se
Meray matam ki sada aarsh helati ho gi

Shaam hote hi wo chokhat pay jala kar shamain
Apni palkon pay kai khawab sulati ho gi

Us ne silwa bhi liye hon ge siya rang libas
Abb Moharram ki tarah Eid manati ho gi

Hoti ho gi mere bhosy ki talab main pagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajati Ho gi

Mere tareek zamanon se nikalne wali
Roshni tujh ko meri yaad dilati ho gi

Dil ki masom ragain khud hi sulagti ho gi
Jonhi taswir ka kona wo jalati ho gi

Rop de kar mujhe us main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahani wo sunati ho gi


send poetry

Wasi Shah
May 4th, 2012

Comment here

Your Comment: