Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe..

Abhi to karna parre ..

Abhi to karna parre ga safar dobara mujhe,
Abhi kare nahin araam ka ishaara mujhe,

Lahuu me aayega tufaan-e-tund raat-ba-raat,
Karegii mauj-e-balaa-khaizz paara-paara mujhe,

Bujha nahin mere andar ka aaftaab abhi,
Jalaa ke khaak kare ga yahi sharaara mujhe,

Utaaar phenktaa main bhi yeh taar-taar badan,
Aseer-e-khaak hoon karna parra guzaara mujhe,

Urre woh gard ke main chaar-suu bikhar jaaun,
Ghubaar me nazar aaye na koi chaara mujhe,

Meri hudood me hai mere aas paas ki dhund,
Rahaa yeh sheher to is ka nahin ijaara mujhe,

Seher huyi to bohat dair tak dikhaayi diyaa,
Ghuroob hotii huyi raat ka kinaara mujhe,

Meri fazaa me hai tarteeb kaainaat kuch aur,
Ajab nahin jo tera chaand hai sitaara mujhe,

Na chhuu sakun jise kya us ka dekhna bhi “zafar”,
Bhalaa laga na kabhi duur ka nazaara mujhe..


send poetry

Zafar Iqbal
May 28th, 2015

Comment here

Your Comment: