Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai..

Dil-e-nadaan tujhe h..

Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai..

Dil-e-nadaan tujhe huaa kya hai,
Aakhir iss dard ki davaa kya hai,

Ham hain mushtaaq aur woh be-zaar,
Yaa ilaahi yeh maajraa kyaa hai,

Main bhi muu mei zabaan rakhta hoon,
Kaash puucho ke mudaa.aa kya hai,

Jab ke tujh bin nahin koi maujood,
Phir yeh hungama ae khudaa kya hai,

Yeh pari-chehra log kaise hain,
Ghamzaa-o-ishvaa o adaa kya hai,

Shikkan-e-zulf-e-ambreen kyun hai,
Nigah-e-chashm-e-suurma saa kya hai,

Sabza o gul kahaan se aaye hain,
Abr kya hai cheez hai havaa kya hai,

Ham ko un se wafaa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafaa kya hai,

Haan bhalaa kar tera bhalaa hoga,
Aur darvesh ki sadaa kya hai,

Jaan tum pr nisaar karta hoon,
Main nahin jaantaa duaa kya hai,

Main ne maana ke kuch nahin “ghalib”,
Muft haath aaye to buraa kya hai..

دل_ناداں تجھے ہوا کیا ہے - مرزا غالب


send poetry

Designed Shayari, Ghazal Shayari, Mirza Ghalib, Video Shayari
April 28th, 2015

One comment

  1. Excelent

Comment here

Your Comment: