Durust kar hi liya maine nazriya apna..
Durust kar hi liya m..
Durust kar hi liya maine nazriya apna,
Ke dard na ho to muhabbat mazaaq lagti hai..
Bewafa Shayari
February 22nd, 2014
Durust kar hi liya maine nazriya apna,
Ke dard na ho to muhabbat mazaaq lagti hai..
Bewafa Shayari
February 22nd, 2014
Shafqat Rehman
April 26th, 2014 at 2:26 pm
Woh samar tha meri duyaaon ka usey kis ne apna bana liya,
Meri aankh kis ne ujaar di mera khawb kis ne churaa liya,
Tujhe kya batayen ke dilnasheen, tere ishq mein, teri yaad mein,
Kabhi guftagu rahi phool se, kabhi chaand chat pe bulaa liya,
Meri jang ki wohi jeet thi, meri fataah* ka wohi jashn tha,
Main gira to dorr ke us ne jab mujhe bazuyon main uthaa liya,
Meri chaand chooney ki hasrtain, meri khushu hone ki khawhishain,
Tu mila to aesa laga sanam, mujhe jo talab thi woh paa liya,
Mere dushmanon ki nazar mein mera qadd* bara hi raha sadaa,
Meri maan ki pyaari duyaaon ne mujhe zilaton* se bachaa liya,
Mujhe pehle pehle dekh kar jo tera haal tha mujhe yad hai,
Kabhi jal gayi teri rotiyaan, kabhi hath tu ne jalaa liya,
Meri diary meri shayari Shafqat parh ke woh ro parri,
Mere paas aake kaha mujhe, bara rog tu ne laga liya..