Charagh hun kab say jal raha hun
Charagh hun kab say ..
Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat
Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir
Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .
Dhoka Shayari, Ghazal Shayari
June 2nd, 2010
5 comment
Comment here
Next: Kuch toot raha hai »
urdu poetry
September 16th, 2010 at 9:39 pm
Bohot Mumkin Hai Dunia Chein Lay Mujh Se Yadain Teri?
Mazeed Aab Main Terey Gham Ki Hifazat Kar Nahi Sakta?!!
Saif
July 20th, 2011 at 9:34 am
?Kitna ikhtiyar tha usko apni chahat pe
?Mohsin?
Is liye jab chaha yad kiya jab chaha bhula diya?
?janta tha wo mujko behlane k har andaz
?faraz?
Is liye jab chaha hansa diya jab chaha rula diya?
?Rakhta to tha wo mera bohut hi kheyal
?Wasi?
Is liye jab chaha khafa kiya jab chaha mana liya?
?Lagta to tha usko ha mujse bohut hi piyar
^SaGaR^
Is liy jab chaha apna bana liya jab chaha daman chura liya..!!!! 03006067291
Saif
July 21st, 2011 at 6:28 pm
Aae khuda karde us shaks ke hawale mujhko,
Ke apne seene se wo ek baar laga le mujhko,
Bikhar gai hun mein toot kar kai tukroon mein,
De usse taufeeq ke aake sambhale mujhko,
Ya tu uska saath aata kar mujhko umr bhar ke liye,
Ya tu chup chap apne paas bula le mujhko. 03006067291
Saif
July 21st, 2011 at 7:20 pm
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !
Pooch kar mera pata, waqt ray-e-gah na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !
Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !
Phool rah jayeengay guld0n mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga !
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga ! 03006067291
factory unlock iphone
June 18th, 2012 at 8:31 pm
Great post. I used to be checking continuously this weblog and I am inspired! Extremely useful information specifically the remaining part 🙂 I deal with such info much. I was seeking this particular information for a long time. Thanks and good luck.