Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath..

Aag ka rishta nikal ..

Aag ka rishta nikal aaye koi paani ke sath,
Zinda reh sakta hoon aisi hi khush-imkani ke sath,

Tum hi batlaao ke uss ki qadr kya hogi tumhe,
Jo mohabbat muft me mil jaaye asaani ke sath,

Baat hai kuch zinda reh jaana bhi apna aaj tak,
Lehar thi asuudgi ki bhi pareshaani ke sath,

Chal raha hai kaam sara khawb mil jul kar yahan,
Kufr bhi chimtaa hua hai jazba-e-imaani ke sath,

Farq parrta hai koi logon me rehne se zaroor,
Sheher ke adaab they apni bayabaani ke sath,

Yeh woh duniya hai ke jis ka kuch thikaana hi nahin,
Hum guzaara kar rahe hain dushman-e-jaani ke sath,

Raayegaani se zara aagey nikal aaye hain hum,
Iss dafah to kuch giraani bhi hai arzaani ke sath,

Apni marzii se bhi hum ne kaam kar daale hain kuch,
Lafz ko larrwa diya hai beshtar maaani ke sath,

Faaslon hi faaslon me jaan se haara “Zafar”,
Ishq tha lahoriye ko ek multaani ke sath..


send poetry

Ghazal Shayari, Zafar Iqbal
April 4th, 2015

Comment here

Your Comment: