Aaj achanak phir yeh kesi khushbu phaili yadon ki..

Aaj achanak phir yeh..

Aaj achanak phir yeh kesi khushbuu phaili yadon ki,
Dil ko adat chuut chuki thi muddat se fariyadon ki,

Deewanon ka bhes bana len ya suurat shehzadon ki,
Duur se pehchani jaati hai shakal tere barbadon ki,

Shart-e-shireen kya puri ho tesha-o-jurat kuch bhi nahin,
Ishq-o-havas ke morr pe yuun to bheerr hai ik farhadon ki,

Ab bhi teri kuche main hawayen khaak uraati phirti hain,
Baqi hai yeh ek riwayet ab bhi tere barbadon ki,

Koi teri tasveer bana kar la na saka khuun-e-dil se,
Lagti hai har roz numayesh yuun to naye behzadon ki..

آج اچانک پھر یہ کیسی خوشبو پھیلی یادوں کی - عنوان چشتی


send poetry

Ghazal Shayari, Unwan Chishti
March 3rd, 2017

One comment

  1. Boht Aala beshak intehaii behtreen

Comment here

Your Comment: