Aati Hain Kabhi Jab Ke Tujhe Chu Kar Yadain..

Aati Hain Kabhi Jab ..

Aati hain kabhi jab tujhe chu kar teri yadain,
Kar deti hain har shayy ko moatar teri yadain,

Yadain teri har baam pe karti hain chiraghaan,
Har gaam pe raqsaan sitamgar teri yadain,

Phir mere takheel ne tera akass bunaa hai,
Phir paint karain gi tera paikar teri yadain,

Roshan teri yaadon se muqaddar ka sitara,
Kismat ki lakeeron mein munawar teri yadain,

Jane yeh pazeerayi hai, rushwayi hai, kya hai,
Ab log manane lage ghar ghar teri yadain,

Yadain teri aati hain kabhi ban ke november,
Aati hain kabhi ban ke december teri yadain,

Mat pooch ke kis tarah nibhaa rakhi hai Raja,
Tujse bhi kahin barh ke hain khud’sar teri yadain..

Ahmad Raza Raja


send poetry

Ghazal Shayari
September 14th, 2012

Comment here

Your Comment: