Ayaadat hoti jaati hai ibaadat hoti jaati hai..
Ayaadat hoti jaati h..
Ayaadat hoti jaati hai ibaadat hoti jaati hai,
Mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jaati hai,
Nami si aankh mei aur hont bhi bheege huye se hain,
Yeh bheega-pan hai dekho muskuraahat hoti jaati hai,
Tere qadmon ki aahat ko yeh dil hai dhuundta har dum,
Har ik awaz pr ik thartharaahat hoti jaati hai,
Yeh kesi yaas hai rone ki bhi aur muskuraane ki,
Yeh kaisa dard hai ke jhunjunaahat hoti jaati hai,
Kabhi to khuubsurat apni hi ankhon mei aise they,
Kisi gham khana se goya mohabbat hoti jaati hai,
Khud hi ko taiz nakhunon se haaye nochte hain ab,
Humen Allah khud se kaisi ulfat hoti jaati hai..
Ghazal Shayari, Meena Kumari
April 2nd, 2015