Benaam sa yeh dard theher kyun nahin jata..
Benaam sa yeh dard t..
Benaam sa yeh dard theher kyon nahin jata
Jo beet geya hai woh guzar kyon nahin jata
Sab kuch to hai kya dhoondti hain nigahain
Kya baat hai mein waqt pe ghar kyon jata
Woh ek hi chehra to nahin sarey jahan mein
Jo door hai woh dil se utar kyon jata
Mein apni hi uljhi huyi raahon ka tamasha
Jate hai jidar sab main udhar kyon nahin jata
Woh naam jo barson se samaya hai zehen mein
Woh khawb agar hai to bikhar kyon nahin jata
Ghazal Shayari, Nida Fazli
May 23rd, 2011
Comment here
Next: TERI ZAROORAT »