Chalo Ik Baar Chaltay Hain

Chalo Ik Baar Chalta..

Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain
Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain

Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain

Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain

Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum
Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain

Sunna hay kooch karnay say budal jaati hein taqdeerein
Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik bar chaltay hain

Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main
Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain

Saza ka ore jaza ka moamla chhordo ab jaanay dau
Jahan na khatm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain

Tumhain koe ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain

by Shaukat Ali Khan


send poetry

Ghazal Shayari
February 21st, 2012

Comment here

Your Comment: