Kya zamana tha ke hum har roz mila karte they..

Kya zamana tha ke hu..

Kya zamana tha ke hum har roz mila karte they,
Raat bhar chaand ke humraah phira karte they,

Jahan tanhaayiyan sar phorr ke so jati hain,
Un makaanon main ajab log raha karte they,

Kar diya aaj zamaane ne unhe bhi majboor,
Kabhi yeh log mere dukh ki dawaa karte they,

Dekh kar jo humen chup chaap guzar jaata hai,
Kabhi uss shakss ko hum pyaar kiya karte they,

Itefaqaat-e-zamana bhi ajab hain “nasir”,
Aaj woh dekh rahe hain jo suna karte they..


send poetry

Ghazal Shayari, Nasir Kazmi, Video Shayari
November 29th, 2015

One comment

  1. Very r0mantic poetry

Comment here

Your Comment: