Maut bhi nahin aati

Maut bhi nahin aati..

Zehan ko afkar ankhon ko pani daay giya
Jatay jatay wo mujay unmit nishani day giya

Dard itna hay k muj ko mout bhi aati nahi
Iss par wo mujay duaa e zindagani day giya

Us ko tha maloom mujay tairna nahi ata
Aaib tha jis mein wohi kashti purani day giya

Mere har shair ka markaz us ki zaat hay
Natawan guftar ko kasi rawani daay giya

Apni sanson mein basa layna meri yadon ko
Aesay wadon ki wo mujay pasbani daay giya


send poetry

Ghazal Shayari
September 16th, 2009

2 comment

  1. ankho me namisi agayi hai
    rato ko jag jag k
    uski yaad me hum khoye hoye hai
    na nind araha hai
    na chain araha hai
    kuch khoye hoye lamho ko yaad krraha hai
    dil me dard sa horaha hai
    kab mil payenge
    kuch pata nehi hai
    dard ko v sath leke chalte hai
    kab unki kami puri hogi pata nehi hai

  2. @[241131962642517:0]
    ashq se ashu nikalte rahe
    us bewafa ki yaad ata rahe
    dard ko dil me rakh k din gujar na parrahe
    rato ki tanhayi me yuhi jagte rahe
    ab mout ka bhi entezar hai
    kuch dino sahyad wo bhi ajaye

Comment here

Your Comment: