Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako..

Mumkin hai chashm-e-..

Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na kar sako,
Mumkin hai tum bhi koi ishara na kar sako,

Mumkin hai zeher de ke ataa kar do zindagi,
Mumkin hai yeh karam bhi dobara na kar sako,

Mumkin hai mera hukam bhi tum ko bhi kabool ho,
Mumkin hai iltijaa bhi gavaara na kar sako,

Mumkin hai do qadam pe badal jao raasta,
Mumkin hai umar bhar bhi kinaara na kar sako,

Mumkin hai mere baghair bhi bassar kar lo zindagi,
Mumkin hai apne saath bhi guzaara na kar sako..


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari
March 12th, 2015

5 comment

  1. JISM SY KHOON NICHOR LETA HAI
    ISHQ JAB HIJAR ORH LETA HAI. . !

  2. IK WEHAM SA KYUN LAA_HAQ HAI??
    K WO BHI MUJH BIN UDAAS HOGA..!

  3. TUM BIN GUZAR TO JAEY GI ZINDAGI..
    HAAN MGR! HUM G NA PAEN GY TM BIN. . !

  4. KITNA SHATIR THA SAAF BACH NIKLA….
    QISMAT KA BAHANA KAR K MUHABBAT CHOR DI US NY. . !

  5. DARD BHARI SHAYERI
    MAIN NY PUCHA DARD_E_ JUDAI IK BULBUL SY….
    TEHNI SY GIR PRA,BOHAT TARPA OR MAR GYA. . !

Comment here

Your Comment: