Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

Sab se chupa kar dar..

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya..

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya..

jane kya us ko logon sey thi shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…


send poetry

Ghazal Shayari
February 2nd, 2012

Comment here

Your Comment: