Shart-e-Mulaqaat. . !

Shart-e-Mulaqaat. . ..

Khuda janay tumharay zehn mein kia hai?
Meray baray mein tum kia sochti ho, kah nahi’n sakta. .
Magar mein is liye milney se katraata hoon tum se. .
K wo baatain jo hum likhtay hain apny khat mein chahat se. .
Wo baatain aur baatain hain. .
Wo baatain aisi baatain hain k bus baatain hi baatain hain. .
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baato’n se. .
Haqeeqat kia hai? Iss adraak tak tum kaisy pohncho gi?
Haqeeqat munkashif hoti nahi’n alfaaz likhney se. .
Zubani guftugu se, bahami izhaar-o-arz-e-haal karny se. .
Boht si aisi baatain hain. .
Jinhain sunnay ko kaano’n ki nahi’n aankho’n ki haajat hai. .
Agar tum mujh sy milney per both israar karti ho. .
To phir ik shart hai. .
Ik lafz bhi na kehna, na honto’n se. .
Faqat aankho’n se aankhain guftugu karti rahaingi. .
Khalaa apny sawalo’n ka. .
In aankho’n ki sadaain khud ba-khud bharti rahaingi. .
Agar milna zaruri hai. .
Tou choti se meri ye shart apny zehn mein rakhna. . !


send poetry

Ghazal Shayari
March 29th, 2013

Comment here

Your Comment: