Sitam yeh na tha…

Sitam yeh na thaR..

sitam yeh na tha
ke ek dor e wafa jee ker
ehd o peeman bert ke
mohabat aashna hoey
aur phir juda hoey

sitam yeh bhe nahi
ke yaqeen abb guman hoa
wo dor abb nasyaan hoa
mohabat ka imtikhan hoa

sitam to yeh hai ke
wo pal jab m’adoom hoa
phir humain m’aloom hoa
hasti e jaan wo na tha
nashan e rah tha wo
manzil e takmeel na tha

abb us kitab e ishq ki
kya nayi surat ho ge
na m’otbar lafzoN ki
kisko zaroorat ho ge
us nok e qalam ki chuban
hai sitam der sitam


send poetry

Ghazal Shayari
September 22nd, 2009

Comment here

Your Comment: