Tujh se tere koochey se agar door hue hain

Tujh se tere koochey..

tujh se tere koochey se agar door hue hain
deewane tere aur bhi mashoor hue hain

tum apni jafaoun ki ise jeet na samjho
hum ishq ke aadaab se majboor hue hain

behtey hue ashkoun ko hiqarat se na dekho
jab bhi sar-e-mishgaan yeh ruke toor hue hain

chaho to humain aaj bhi suli pe chadha do
kuch loog to har dour main mansoor hue hain

har jashan-e-masarat pe nikal aye hain aansoo
har gham se galey mil ke bhi masroor hue hain

kaantoun ki murrawat ne kahin saath na chodha
phooloun ki mulaqaat se ranjoor hue hain

har sang-e-malamat se mulaqaat hui hai
hum jab se tere shaher main mashoor hue hain

lou shama-e-mohabbat ki RAIS aur badha do
aiwan-e-wafa suntey hain be noor hue hain


send poetry

Ghazal Shayari
September 24th, 2009

Comment here

Your Comment: