Tum jo hastey ho to phoolon ki ada lagte ho

Tum jo hastey ho to ..

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho


send poetry

Ghazal Shayari, Romantic Shayari
November 19th, 2011

2 comment

  1. Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
    Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho
    Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
    Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho
    Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
    Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho
    Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
    Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho
    Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
    Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho
    Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k

  2. Dil kho kr seh raha hu ye luft-e-saza,
    Yaadon me kisiki ho gaya hu faana.
    Us ki laboon ki zumbish lage mujhe hr dum ikhrar,
    Us ki barham bhi lage mujhe pyar ki guhar.
    Baag-e-gulfam me bhi shayed aisi kali nahi,
    Ek nazar me bndh jaye rishta-e-zist, aisi koi gul nahi.
    Phir najaane kaise kr baitha mohabat-e-behshumar,
    Marg-e-kuuche pr aya is dil ko khumar.
    Mehboob-e-makshar-e-khayal me duba hu hr pl,
    Assan nahi zabt-e-shauq jb saamne ho dil-e-manzil.
    Bhulana mumkin nahi Khaana-e-dilnashi ka,
    Daava-e-illaj nahi hai dil me is soz ka.
    Ab marg hi shayed reha kr paye is bechain dil ko,
    Na mille agar ishq-e-saabaa mujhko.

    This is my work

Comment here

Your Comment: