Wo kehti hai suno jana

Wo kehti hai suno ja..

Audio Poetry:

Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?

Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,

Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,

Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,

Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,

Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,

Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?

Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,

Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?

Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,

Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,

Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,

Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,

Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,

Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?

Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?

Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,

Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,

Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!!


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari
December 7th, 2010

48 comment

  1. it’s hart touching

  2. such a great wo kehti ha suno jana

  3. yeh ankhen doondti hain tumari yaadien satati hain chale ao ek bar ao na

  4. A beautifull urdu poem

  5. i loved it…. Awesum lines….

  6. its really ,awesome n heart melting

  7. Very very nice
    i love it
    it’s great genious. super.

  8. who r u? i want to know

  9. Who kehti he kya tum sach me pyar karte ho mujse,
    me kehta hoo jaan apni dekar kya yakin dilau?,
    who kehti he jaan to me bhi apni dedu tumhare liye,
    par kya jaan dekar me tumko kese paaau……

  10. Awesome

  11. Superb very nice

  12. iski hr line meri trjmani hai

  13. so nice poet of aatif jee

  14. Wa0o realy nice

  15. bohat nice gazal hain dill me utar jane wale hain mujhe b bohat da lagta hain k me apne pyr ko kho na du par mujhe yakeen hain apne pyr p qk itne bare bare tofan ae itne bre bre larai gussa thanda hone k bd bt clear kar k phr pyr karte sorry karlete h par ek dosre ko dor hone nai daete break up nai karte jo aj kal chal raha h or me b ac sawal karte ho in se or ye kahty ap b jante h ap mere jan h me soch b nai sakta aisa or pyr ac thori hota h k jo chor jae me har wkt ap k sath ho qk ap nae to kuch nai masha allah 3 year hogy h 3 sall me shadi h anywaym me bhe lehkti ho or shok b h pr mujhe lagta h ap se acha nai lihk sakte.or me just apne lia lihkte apne khayalat lihkte ho bohat zabrdast lihkte hain Ap .

  16. good

  17. i really love this poetry i cant word to say…………..
    its tchng my Hrt……..

  18. Itni swt p0etry h.
    🙁
    aaj q aankh bhar aayi h. Aaj q teri yaad aayi h. 🙁
    facebook.com/deep.s.panwar1

  19. poetry is my favourite specially sad and lonely poetry i love v much

  20. It’s only for those who having a Heart.
    It’s really heart break poetry.

  21. It’s really heart touching..!!!

  22. heart touching and relating with my life………..unforgetable for me…..bt I think she can’t understand.

  23. reminded me of someone and now my heart is feeling alive again..

  24. i really love this poetry i cant word to say…………..
    its tchng my Hrt……..

  25. I m in love with this poetry
    owseeem

  26. Lovely

  27. v.v.v.v.v nice n heart tougting gzl….I lv it,,,,, really v nice …:’

  28. :'(

  29. wo kahti h tumahri yaad bahut satati h tumahre jaane k baad. . .ki is dil ko sambhalna muskil ho jata h . . .!!
    main kahta hun haal e dil kuch aisa hi h deewane ka.. . par duriyan bhi zaruri h mohabbat badhane k liye !!

  30. i really love this poetry i cant word to say………….. <3

  31. rula diya yar

  32. i really love this poetry <3
    For me this is best poetry <3
    it’s hart touching

  33. Thank God…I got this site coincidentally..what a beautiful nazm..I love it very much…really one of the most beautiful Urdu poems…I can feel it.

  34. M speechless I my slf in love n usd 2 c n listen dis fbls n outstanding ghazl

  35. i love this poetry

  36. Realy Nice. I love this

  37. very heart touching ghazal jis a b likhi ha boht doob ka likhi ha kn ha wo agar ho say to ma milna chaho ga us sa bat krna chaho ga kn ha wo dard ka mara

  38. vry nce. i wsh if sum1 cld wrte sch a btfl shyri 4 me also…

  39. Wo kehti h sada aesy hi,
    Kya tm mjh ko chaho gy?
    K m is m kami koi b,
    Gawara kr ni sakti,
    M kehta hoon, Mohabbat kya h ye tm ne sikhaya h,
    Mjhy tm se muhabt k siwa,
    Kuch b ni aata,
    Wo kehti h, Judai se bohat darta h mera dil,
    K khud ko tm se hat kr dekhna, Mumkin ni h ab,
    M kehta hoon, Yahi khadshy buhat mujh ko sataty hain,
    Magar sach h mohabbat m, Judai saath chalti h.

  40. outstanding by this way I got hearted………..
    I love this poem………..

  41. Kaha tha na is awsome kaha tha na is awsome….. . Me to ro pri :'(

  42. i love poetry

  43. who is the poet of this poem??

  44. v nice poetry ….
    one of those i like the most…

  45. v nice poetry ….
    one of those i like the most…really

  46. v nice poetry ….
    one of those i like the most…really
    it is matchless

  47. I can say it is a most beutiful poem in historical page No apposition for its

  48. alert(“Nice!!”)

Comment here

Your Comment: