Woh to khushbu hai, Hawaon mein bikhar jaye ga

Woh to khushbu hai, ..

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga
Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga

Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae ga
Kya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga

Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta hai
Ik jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga

Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liye
Mousam e gul mere angan main theher jaae ga

Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge
Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga

Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia waris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga

(Aakhrish:But)(Tehzeeb:Manners)(Rafaqat:Company,Being With)


send poetry

Ghazal Shayari, Parveen Shakir
December 5th, 2011

3 comment

  1. Woh to khushboo hai hawa mein bikhar jayega . . .
    Who is the poet of this ghazal ?

  2. the poet name is Parveen Shakir

  3. Parveen shakir is the poetess of this beautiful ghazal.

Comment here

Your Comment: